ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa
us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa
us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hu_ii
us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii
us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n
us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa
us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa
un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n
us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n
in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n
un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n
yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue
is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n
aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye
November 27, 2010
Ahmad Faraz - Ab Kis Ka Jashan Manatay Ho
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment